Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Daisy4u - Topics
Create Your Own App Store

* Daisy4u > Topics


Subject: ~~~urdu ghazal~~~
Replies: 13 Views: 1031

shiza_a 11.12.10 - 01:19pm
apni favourite gazals yaha share kijiye *

shiza_a 11.12.10 - 01:24pm
Uss ne phir mera haal poocha
hai...
,
Kitna mushkil sawaal poocha hai.
,
Hichkioun ka ajeeb lehja tha,
,
Baat ko taal taal poocha hai.
,
Tum mujhay chorr to na jao ge?
,
waastey daal daal poocha hai.
,
Aansuon ki zubaan mein us ne,
,
jitna poocha kamaal poocha hai.
,
Kya kbhi mil payein ge hum dono?
,
Mujh se mera khayal poocha hai.
,
Din guzarta hai kaise mera?
,
Kaise guzray ga saal poocha hai...!
*
*

shiza_a 11.12.10 - 01:27pm
kabhi is nagr tujhe daikhna kabhi us nagr tujhe dondna.
kabhiraat bhr tujhe socha kabhi raat bhr tujhe dondo


mera khwab tha k khayal wo uroj tha k zwaal tha

teriyaad aye to ro dia
jo to mil gia tujhe kho dia

meray silsily b ajeeb hein
tujhe chor kartujhe dondo
*kabi is nagr.... kabi us nagr
*

shiza_a 11.12.10 - 01:43pm
teri agosh may ser rakh kar jo sou jaon kabhai...
kachhi nendonmay mujhay chho k othana na kabhi..
khwab me holay se muskura k jo karwatt badloon...
apnay khwab ka talasim se na jagana na kabhi...
tere dill me kissi aur ki chahat ubhray....
bhool kar bhe mujhe yah baat batana na kabhe....
yah nahi kahta k har lamha mujhe yaad rakho....
par hamesha k liye mujh ko bulana na kabhi....!
*

daisy4u 11.12.10 - 02:52pm
Thnx for dis lovely thred @shiza *

daisy4u 11.12.10 - 09:50pm
To jhuka jhuka k nazar kion milayee
jati hay,
-
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati
hay,
- Tarah tarah say wafa aazmayee jaati
hay,
-
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar
nahin,
- To jhuka jhuka k nazar kion milayee
jaati hay,
-
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin
daitay
- Hamari chiz hum hi say chupai jaati
hay,
-
Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na
hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay *

daisy4u 11.12.10 - 09:57pm
Khamoshi bol uthe, to har nazar
paighaam ho jaye
-
Ye sannata agar had se badhe to
kohraam ho jaye
- Sitare mashalen le kar mujhe bhi
dhoondne niklain
-
Mein rasta bhool jaoon to junglon
mein shaam ho jaye
- Men wo adam-e-guzeda' n hoon jo
tanhai k sehra men Khud apni chaap
sun kar larza bar- andaam ho jaye-
Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh
mandon ki
- Na ho daaman mein zar'ra aur sehra
naam ho jaye
-
Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat
kaafi hai
- Hum is se bach ke chalte hen jo rasta
aam ho jaye * *

cascad18 12.12.10 - 11:54am
Keep sharing @shiza @waqar
nyce poetrys u both posted here.. Thanks pals *

daisy4u 12.12.10 - 09:31pm
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi
likh do
*
Tum apna naam na likho, gum-naam
hi likh do
*
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai
lekin
*
Tamaam umr na likho magar ek
shaam hi likh do
*
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har
kisi ko
*
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi
likh do
*
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha
mujhko rehna hai
*
Magar pal do pal, ghadi do ghadi,
mere naam hi likh do
*
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke
mustahiq thahre hum
*
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh
do
*

daisy4u 12.12.10 - 10:15pm
Ay moaj-e-Hawa
Tu hi batta !!
*
Wo dost Hamara kesa he?
*
Jo bhool chuka hai hamain kab
sey !
*
Wo jo jan se pyara kesa hai?
*
Kya us ky Jeevan
Lamhon mein Koi Lamha mera baaqi Hai?
*
Kya us ki jaagti ankho mein,,,
meri Yaad abhi bhi baqi hai?
*
Agr aisa nahi to!!!
Tu hi Batta,,,
Hum yad ussey kyun kartey hain? Wo Hum se bichar k khush he agar!
Tu pal pal kyun hm marttay hain?
*
Ay moj-ehwa tu hi bata,,!!
*

shonu77 15.12.10 - 06:00am
Hmm . . . . Gud clectn frndz *

cascad18 15.12.10 - 09:59am
nyce dear .. keep sharing *

daisy4u 15.12.10 - 08:51pm
Thnx @shonu n @cascad *

daisy4u 15.12.10 - 09:31pm
Kabhi tum khud bhi aa dekho ye
manzar shaam se pehle,
Ye lab kaise chamakte hain tumhare
naam se pehle,
Nahi mumkin main raah-e-shoq se
waapas palat jayon,
Parinde to nahi lote kabhi ghar shaam
se pehle
Nahi malum kab se hai ye taaluq apna,
Tumhara aks tha dil mein tumhare
naam se pehle
*


* Reply
* Daisy4u Forum


Search:
topics replies


* Daisy4u

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store